Ullas

Ullas

Saturday, October 31, 2009

Tumhari Baatein....

Am back... For a quick poem..

Tumne haske kuchh baat kahi thi....
Baatein hi to thi...
Kabhi galiyon ki mod pe.. kabhi bus ki bheed mein...
kabhi cofee table pe... kabhi thandi dhoop mein...
kabhi park ke ghaas pe... kabhi hall ki andhere mein...
Tumne haske kuchh baat kahi thi..
Baatein hi to thi...

Baaton hi baaton ki badti yeah mahal hai...
Tumhari baaton ki har ek eent hai...

Baaton se saji hui subah ki chai hai...
baaton ke beech main rangeen yeah shaam hai..

Baaton ki beech main pakwan ki farmaish hai..
Baaotn se odi hui kambal main raat hai...

Baaton se bhari hui chanda ka saath hai...
Baaton se saji hui srurili si dhadkan hai...

Tumne haske kuchh baat kahi thi..
Baatien hi to thi....

Baaton mein gussa hai..
Baaton mein sisak hai..
Baaton mein halki si .. man ki koi chhabi hai..

Baaton mein namak hai..
Baaton mein churan hai..
Baaton mein dabi si.. masalon ka mishran hai...

Tumne haske kuchh baat kahi thi..
Baatein hi to thi..


Baaton ki apni andaaz hai..
Baaton ki apni dosti hai...

Geheri shanti main.. baaton ki dushmani hai..

Tumhari baatein hai.. tabhi subah ka ahsaas hai..
Tumhari baatein hai tabhi zindagi chalti hai....


Tumne haske kuchh baat kahi thi..
Baatien hi to thi....

1 comment:

arpan said...

nice one- tui kobi kobe holi?main shaayar to nahi case naaki? ;)

Come lets Ullas

Ullas - is the word for cheers...


In a time when we don't even know who stays in our neighborhood but have 97 friends in the orkut the cheer is missing.
The time is missing when you were really in physical company of many people who can really cheer with you.
Now people are just stressed out if they don't receive a scrap on his/her new posted pics.
Really what a time we are living in...

This blog is my personal experiences with finding new people and friends not on orkut and yahoo but on the journey called life.....